Spread the love
4.6
(41)

ट्रेन ट्रैक पर कचरा फेंकना एक गंभीर अपराध है जो कई तरह से खतरनाक हो सकता है। यह ट्रेनों के लिए दुर्घटना का कारण बन सकता है, जिससे लोगों को चोट लग सकती है या मौत हो सकती है। यह पर्यावरण को भी नुकसान पहुंचा सकता है। Haal hi mai social media per ek video samne aya jha railway housekeeping staff ko ek chalti train se kachra fekte hue dekha gya hai.Yeh chokane wali video hume na kewal hamre desh mai samanya roop se dekhne ko milne wali kachra fakne ki laperwha dhristikod ki yaad dilati hai balki train track per kachra fakne ke karan se jude khatarnaak jokhim ki bhi yaad dilati hai.Hamari bhagdhod bhari zindgi ke karan hum aksar un khatro ko nazarandaaz ker dete hai jo chote se lagne wale karyo se jude hote hai.

Train Tracks

लेकिन इस ब्लॉग में हम जानेंगे कि इस तरह की लापरवाहियों के क्या खतरे होते हैं।

ट्रेन की कार्य प्रणाली में समस्याएं

Train par kachra fekne ke khatro ko samajhne ke liye, hume train train ke kaam karne ka tarika samajhna hoga. Train ek vishal machine hoti hai. Jiske kaam karne ke liye train track ka smooth hona jaruri hai, aur jab kachra inke najuk santulan mai bhada daalta hai to unhe kathin parinamo ka samna kerna padta hai.Train ka track saaf nahi hone par train ke smooth aawagaman mei badha aa sakti hai.

ट्रेन के ट्रैक से उतर जाने का खतरा

Train track per kachra fakne se train ke track se utar jane ka katra badh jata hai. Derailment ghambhir durghatnaye ka karan ban sakta hai. Controller Auditor General of India ki ek report ke anusar, April 2017 se March 2021 ke bich 1129 train derailment ki 1129 ghatnaye hui. Is report mei ye bhi bataya gaya hai ki saal 2017-18 se 2020-21 tak Indian Railway ne Safety Fund mei Rs. 15775 karod rupaya jama nahi karaya hai. Is wajah se Suraksha karyon mei badha aayi hai.

Infrastructure ko Nuksan

Train ke track vajan aur bal ko sehne ke liye desigh kiye gye hote hai. Jab kachra, jaise plastic bottle aur thaile, train track par jama hote hai, to yeh track per atirikt tanav dalta hai. Jis wajah se railway ke communication system ke kaam karne mei badha utpann hoti hai. Indian National Express mei chhapi ek report ke anusar 3 June 2023 ko Odisa ke Banahana Bazar railway station par sambhavtah communication system ke failure ke karan train durghatna mei 268 logo ki jaane chali gayi aur karib 900 log ghayal ho gaye.

सिगनल सिस्टम्स मेई ख़राबी आना

Hum sab jante hai ki train ke acche sanchalan ke liye ek jatil signal network ke thik se kaam karne ki aawashyakta hoti hai. Train track par jama kachra signalo ko bhadit ker sakta hai, jismai train aur control kendro ke bich bhram aur galat sanchar ho sakta hai. Yeh badha durghatnaye, deri aur poore railway network ke totne ka karan ban sakti hai.

पर्यावरण को नुक्सान

Kachre se hone wale nuksan ke alawa, train track per kachra fakne separyavaran ko ghambhir haani hoti hai. Train ke dwara fehlaye gair kachre se train trackke aas paas ki jeev jantuon ko khatra utpann hota hai. Is ke sath hi pradushan bahut failta hai. 2009 mai report kiya gya tha ki lagbhag 6,289 ton plastic kachra her din bharat ke railway track per pahucta hai, jo naliyo ko band kerta hai ya mittimai mil jata hai, jisse krishi utpaadakta kam hoti hai. Is tarah train track par faila hua kachra hamari sab ke swasthya ke liye hanikarak hota jaa raha hai.

आग लगने का खतरा

Train track ke pass kachre ke jamav se aag lagne ka khatra hota hai. Ciggrate butt, machis ya train se utpaan chigari shukhe aur ashani se jalne wale samigri ko aag laga sakte hai, jo bhyanak aag ka karan ban sakte hai. Guardian mei chhapi ek report ke anusar haal hi mei 26 August, 2023 ko Tamilnadu ke Madurai railway station par train mei aag lagne ke karan 9 logo ki dukhad maut ho gayi.

Aag ka khatra

कचरा प्रबंधन के लिए एक महत्वपूर्ण कदम

ट्रेन ट्रैक पर कचरा फेंकने को रोकने के लिए हमें सबको मिलकर काम करना होगा। हम लोगों को इस अपराध के बारे में शिक्षित कर सकते हैं और उन्हें इसके संभावित खतरों के बारे में बता सकते हैं। हम ट्रेन ट्रैक पर कचरा फेंकने वाले लोगों को रिपोर्ट भी कर सकते हैं।

कचरा फेंकने पर जुर्माना

कचरा फेंकने के जुर्माने को बढ़ाना स्वच्छ भारत अभियान को बढ़ावा देने के लिए एक महत्वपूर्ण कदम है। सरकार, नागरिक समाज और आम जनता के संयुक्त प्रयासों से इस समस्या को कम किया जा सकता है। Bhartiya railway nei railway station, train track aur train ke andar kachra failane par dand ka pravdhan bhi kiya hai. Agar koi vyakti kisi bhi karan se train mei kachra aur gandagi failate huye paya jata hai to us par Rs. 500 ka jurmana lagaya ja sakta hai. Ye jurmana aur bhi adhik ho sakta hai. Is liye hum sabhi ko dhyan rakhta chahiye ki hume kabhi aisi paristithi ka samna ka karna pade.

Train track per kachra ek Gambhir samasya hai. Es samasya ke nirakaran ke  liye samajik sahayog ji aawashyakta hai. Nagar Palikaye aur Railway Prashashan kachra failne se rikna chahiye. Aur is ke sath hi faile huye kachre ko saaf karne ki samuchit vyavastha karni chahiye. Par is se bhi badi ek baat, hum sabhi ko Bharat ka zimmedar nagrik hone ke nate kachna faile hi na, iska dhyan rakhna chahiye. Agar sabhi log tay kar le ki hum kahi par koi kachra nahi failayege, to ye samasya kuch hi dino mei door ho sakti hai.

जानकारी के लिए पढ़ें: भारत और दुनिया की ट्रेनों की रहस्यमयी कहानियां

Train mei swadisht bhojan ke liye hai ZOOP

Saal 2014 se, ZOOP train mei bhojan ki suvidha uplabdh karane wala agrani brand ban gaya hai. ZOOP is baat ka khas khayal rakhta hai ki kam se kam wastage ke sath behtarin swad aur suvidha ke sath grahakon ki seva ho. Is ke alawa ZOOP FSSAI aur IRCTC ke dwaa sweekrat restaurant ke sath exclusive roop se sajhedari karta hai, ji se yah sunischit hota hai ki train passangers ko sabse surakshit aur badhiya bhijan mil sake.

Order Food in train delivered to your seat

ZOOP aap ki pareshani mukt yatra sunischit karta hai. ZOOP har prakar se ek behtarin aur swad se bharpoor anubhav ka wada karta hai.

How useful was this post?

Click on a star to rate it!

Average rating 4.6 / 5. Vote count: 41

No votes so far! Be the first to rate this post.

Get Flat ₹100 OFF on Your Train Food Order Today! Use Coupon Code - ZOOP100